rah ki dhup se mafar hi nahin
raah kī dhuup se mafar hī nahīñ
ham jahāñ haiñ vahāñ shajar hī nahīñ
yā to mujh meñ koī hunar hī nahīñ
yā koī sāhib-e-nazar hī nahīñ
huuñ ye kis tīrgī ke zindāñ meñ
raushnī kā jahāñ guzar hī nahīñ
koī Duube koī sadā ubhre
shor-e-dariyā pe kuchh asar hī nahīñ
ḳhushk patte uḌā rahī hai havā
ab koī phuul shāḳh par hī nahīñ
guftugū zaḳhm bhī hai marham bhī
lafz shabnam bhī haiñ sharar hī nahīñ
kyā kisī se ham ustuvār kareñ
rishta-e-jāñ ki mo'atabar hī nahīñ
rah ki dhup se mafar hi nahin
hum jahan hain wahan shajar hi nahin
ya to mujh mein koi hunar hi nahin
ya koi sahib-e-nazar hi nahin
hun ye kis tirgi ke zindan mein
raushni ka jahan guzar hi nahin
koi Dube koi sada ubhre
shor-e-dariya pe kuchh asar hi nahin
KHushk patte uDa rahi hai hawa
ab koi phul shaKH par hi nahin
guftugu zaKHm bhi hai marham bhi
lafz shabnam bhi hain sharar hi nahin
kya kisi se hum ustuwar karen
rishta-e-jaan ki mo'atabar hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.