rah mein ghar ke ishaare bhi nahin niklenge
raah meñ ghar ke ishāre bhī nahīñ nikleñge
chāñd Duubā to sitāre bhī nahīñ nikleñge
Dūbne ke liye sāhil pe khaḌā huuñ maiñ bhī
bandisheñ toḌ ke dhāre bhī nahīñ nikleñge
Thahar ai sail-e-ravāñ varna ye bastī hī nahīñ
tere ġharqāb kināre bhī nahīñ nikleñge
merī bastī baḌī muflis hai magar ai hātim
log yuuñ haath pasāre bhī nahīñ nikleñge
tum ajab log ho āñgan ke liye rote ho
ab makānoñ meñ usāre bhī nahīñ nikleñge
raat bhar jaag ke ham ne jo kamā.ī kī hai
us se to din ke ḳhasāre bhī nahīñ nikleñge
tum bhī 'ġhālib' kī tarah laakh jatan kar lo 'shakīl'
saare armān tumhāre bhī nahīñ nikleñge
rah mein ghar ke ishaare bhi nahin niklenge
chand Duba to sitare bhi nahin niklenge
Dubne ke liye sahil pe khaDa hun main bhi
bandishen toD ke dhaare bhi nahin niklenge
Thahar ai sail-e-rawan warna ye basti hi nahin
tere gharqab kinare bhi nahin niklenge
meri basti baDi muflis hai magar ai hatim
log yun hath pasare bhi nahin niklenge
tum ajab log ho aangan ke liye rote ho
ab makanon mein usare bhi nahin niklenge
raat bhar jag ke hum ne jo kamai ki hai
us se to din ke KHasare bhi nahin niklenge
tum bhi 'ghaalib' ki tarah lakh jatan kar lo 'shakil'
sare arman tumhaare bhi nahin niklenge
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 43)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.