rah mein jo bhi rukawaT ho haTa dena hai
raah meñ jo bhī rukāvaT ho haTā denā hai
laakh ūñchī sahī dīvār girā denā hai
ham pe us 'ahd kā jo qarz chalā aatā hai
ab ke jaise bhī ho vo qarz chukā denā hai
apnī ġhairat pe bahut zulm kiye haiñ ham ne
ḳhud ko ab apne hī hāthoñ se sazā denā hai
taaki paspā.ī kā imkān hī baaqī na rahe
ek baar aur safīnoñ ko jalā denā hai
ham abhī chup haiñ magar roz-e-hisāb aane do
ham ko mā'lūm hai kyā lenā hai kyā denā hai
bād-e-sarsar se koī aur tavaqqo' be-sūd
us kī fitrat to charāġhoñ ko bujhā denā hai
ab tavaqquf kī zarūrat hai na ḳhush-fahmī kī
fitna-e-jabr ko bar-vaqt dabā denā hai
ham ne sīkhā hai azān-e-saharī se ye usuul
log ḳhvābīda sahī ham ko sadā denā hai
ham ko hālāt ne majbūr kiyā hai varna
ham faqīroñ kā to mā'mūl du'ā denā hai
rah mein jo bhi rukawaT ho haTa dena hai
lakh unchi sahi diwar gira dena hai
hum pe us 'ahd ka jo qarz chala aata hai
ab ke jaise bhi ho wo qarz chuka dena hai
apni ghairat pe bahut zulm kiye hain hum ne
KHud ko ab apne hi hathon se saza dena hai
taki paspai ka imkan hi baqi na rahe
ek bar aur safinon ko jala dena hai
hum abhi chup hain magar roz-e-hisab aane do
hum ko ma'lum hai kya lena hai kya dena hai
baad-e-sarsar se koi aur tawaqqo' be-sud
us ki fitrat to charaghon ko bujha dena hai
ab tawaqquf ki zarurat hai na KHush-fahmi ki
fitna-e-jabr ko bar-waqt daba dena hai
hum ne sikha hai azan-e-sahari se ye usul
log KHwabida sahi hum ko sada dena hai
hum ko haalat ne majbur kiya hai warna
hum faqiron ka to ma'mul du'a dena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.