rah mein kanTe meri bote rahe
raah meñ kāñTe mirī bote rahe
kyoñ sitam ījād ye hote rahe
dostoñ ke bhes meñ sayyād the
dostī kā bhī bharam khote rahe
chaar tinkoñ kā merā thā āshiyāñ
bijliyāñ girtī thiiñ ham rote rahe
dushmanī kyā mujh se thī ai āsmāñ
ghar mirā jaltā thā vo sote rahe
āsmāñ vaale bhī hairāñ the magar
dekh kar vo dam-ba-ḳhud hote rahe
ham ko bhī apnī ḳhudī par naaz thā
chup rahe aur imtihāñ hote rahe
rah mein kanTe meri bote rahe
kyon sitam ijad ye hote rahe
doston ke bhes mein sayyaad the
dosti ka bhi bharam khote rahe
chaar tinkon ka mera tha aashiyan
bijliyan girti thin hum rote rahe
dushmani kya mujh se thi ai aasman
ghar mera jalta tha wo sote rahe
aasman wale bhi hairan the magar
dekh kar wo dam-ba-KHud hote rahe
hum ko bhi apni KHudi par naz tha
chup rahe aur imtihan hote rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.