rah mein paDti thi diwar nahin dekh saka
raah meñ paḌtī thī dīvār nahīñ dekh sakā
maiñ ki is paar thā us paar nahīñ dekh sakā
dekhtā thā jise rozāna kī buniyād pe maiñ
ek do saal se ik baar nahīñ dekh sakā
yaar tū kaise kisī shaḳhs kī jaañ letā hai
maiñ to ik chiḌiyā ko bīmār nahīñ dekh sakā
is pe kyā ġham ki churā.ī haiñ nigāheñ us ne
maiñ bhī to us ko lagātār nahīñ dekh sakā
tū ai dushman mirī hālat ko kahāñ dekhegā
merī jānib to mirā yaar nahīñ dekh sakā
is liye umr se maiñ tujh ko baḌā lagtā huuñ
tū mere hijr kī raftār nahīñ dekh sakā
aisī tartīb se rakkhā thā sajā kar 'dānish'
maal meñ naqs ḳharīdār nahīñ dekh sakā
rah mein paDti thi diwar nahin dekh saka
main ki is par tha us par nahin dekh saka
dekhta tha jise rozana ki buniyaad pe main
ek do sal se ek bar nahin dekh saka
yar tu kaise kisi shaKHs ki jaan leta hai
main to ek chiDiya ko bimar nahin dekh saka
is pe kya gham ki churai hain nigahen us ne
main bhi to us ko lagatar nahin dekh saka
tu ai dushman meri haalat ko kahan dekhega
meri jaanib to mera yar nahin dekh saka
is liye umr se main tujh ko baDa lagta hun
tu mere hijr ki raftar nahin dekh saka
aisi tartib se rakkha tha saja kar 'danish'
mal mein naqs KHaridar nahin dekh saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.