rahat-e-jaan hui hai hum pe suKHan-arai
rāhat-e-jāñ huī hai ham pe suḳhan-ārā.ī
jaise bajne lage komal suroñ meñ shahnā.ī
ham se lipTī hai yā lipTe hue haiñ ham is se
kis qadar dekh tirī yaad se hai yakjā.ī
ḳhauf dekhā thā bichhaḌne kā tirī āñkhoñ meñ
aur nazar aa.ī thī dīvār pe ik parchhā.ī
vo bhī hairāñ haiñ udhar ham bhī pareshāñ haiñ idhar
yaad aa.ī hai udhar aur idhar bhī aa.ī
vo jo thī raat meñ tanhā mujhe kar jaatī thī
ab banānī hai mujhe ek na.ī parchhā.ī
jaañ meñ paivast udāsī hai ka.ī janmoñ kī
maut tak saath nibhā.egī mirī tanhā.ī
ham bahut ḳhush the bahut hañste the nādānī meñ
kar ga.ī hai hameñ vīrān koī dānā.ī
jism jaise bhī hoñ sāyoñ meñ koī aib nahīñ
ek hī rang ke haiñ ek sī hai gahrā.ī
log kahte haiñ kaheñ kis ko hai parvā 'mīrā'
ham ne sar māthe pe rakkhī hai tirī rusvā.ī
rahat-e-jaan hui hai hum pe suKHan-arai
jaise bajne lage komal suron mein shahnai
hum se lipTi hai ya lipTe hue hain hum is se
kis qadar dekh teri yaad se hai yakjai
KHauf dekha tha bichhaDne ka teri aankhon mein
aur nazar aai thi diwar pe ek parchhai
wo bhi hairan hain udhar hum bhi pareshan hain idhar
yaad aai hai udhar aur idhar bhi aai
wo jo thi raat mein tanha mujhe kar jati thi
ab banani hai mujhe ek nai parchhai
jaan mein paiwast udasi hai kai janmon ki
maut tak sath nibhaegi meri tanhai
hum bahut KHush the bahut hanste the nadani mein
kar gai hai hamein viran koi danai
jism jaise bhi hon sayon mein koi aib nahin
ek hi rang ke hain ek si hai gahrai
log kahte hain kahen kis ko hai parwa 'mira'
hum ne sar mathe pe rakkhi hai teri ruswai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.