rahat-e-jaan tha wahi ab dushman-e-jaan ho gaya
rahat-e-jaan tha wahi ab dushman-e-jaan ho gaya
Nashtar Qaimganjvi
MORE BYNashtar Qaimganjvi
rāhat-e-jāñ thā vahī ab dushman-e-jāñ ho gayā
zarf-e-marham apnī qismat se namak-dāñ ho gayā
zindagī par bas nahīñ hai maut par qaabū nahīñ
bas inhīñ majbūriyoñ kā naam insāñ ho gayā
ḳhuun kī chhīñToñ se vahshī ne khilā.e itne gul
ik chaman chhoTā sā bar-dīvār-e-zindāñ ho gayā
ḳhuun kā da.avā to kaisā aur ulTā hashr meñ
kaT gayā maiñ jab mirā qātil pashemāñ ho gayā
haTiye haTiye naġhma-e-hastī se lau uThne lagī
bachiye bachiye mere jal bujhne kā sāmāñ ho gayā
zabt kī duniyā Dubo dī ek aañsū ne mire
būñd-bar paanī baḌhā itnā ki tūfāñ ho gayā
ashk-e-ḳhūnī ne mire 'nashtar' vo kiiñ gulkāriyāñ
merā dāman ek chhoTā sā gulistāñ ho gayā
rahat-e-jaan tha wahi ab dushman-e-jaan ho gaya
zarf-e-marham apni qismat se namak-dan ho gaya
zindagi par bas nahin hai maut par qabu nahin
bas inhin majburiyon ka nam insan ho gaya
KHun ki chhinTon se wahshi ne khilae itne gul
ek chaman chhoTa sa bar-diwar-e-zindan ho gaya
KHun ka dawa to kaisa aur ulTa hashr mein
kaT gaya main jab mera qatil pasheman ho gaya
haTiye haTiye naghma-e-hasti se lau uThne lagi
bachiye bachiye mere jal bujhne ka saman ho gaya
zabt ki duniya Dubo di ek aansu ne mere
bund-bar pani baDha itna ki tufan ho gaya
ashk-e-KHuni ne mere 'nashtar' wo kin gulkariyan
mera daman ek chhoTa sa gulistan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.