rahat-e-kaunain wasl-e-jism-o-jaan samjha tha main
rahat-e-kaunain wasl-e-jism-o-jaan samjha tha main
Jagdish Sahay Saxena
MORE BYJagdish Sahay Saxena
rāhat-e-kaunain vasl-e-jism-o-jāñ samjhā thā maiñ
zindagī ko suud marne ko ziyāñ samjhā thā maiñ
ik jamāl-e-ġhair-fānī kī vo detī thī ḳhabar
apnī hastī ko faqat vahm-o-gumāñ samjhā thā maiñ
dāġh-e-dil ko dekh kar sharmā ga.e jannat ke phuul
haif us ko ik matā-e-rā.egāñ samjhā thā maiñ
us ke andāz-e-bayāñ par guftugū qurbāñ huī
apnī ḳhāmoshī ko yā-rab be-zabāñ samjhā thā maiñ
kuchh bagūle raqs karte aa.e sahrā meñ nazar
gard ko un kī ġhubār-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
phuul thā ḳhūnīñ-jigar kāvish se nok-e-ḳhār kī
us ko ik jām-e-sharāb-e-arġhavāñ samjhā thā maiñ
umr-bhar khātā rahā afsos daulat kā fareb
jism ke ārām ko ārām-e-jāñ samjhā thā maiñ
shiddat-e-ranj-o-alam thī zāmin-e-lutf-e-hayāt
vā.e-nādānī ki is ko jāñ-sitāñ samjhā thā maiñ
rahat-e-kaunain wasl-e-jism-o-jaan samjha tha main
zindagi ko sud marne ko ziyan samjha tha main
ek jamal-e-ghair-fani ki wo deti thi KHabar
apni hasti ko faqat wahm-o-guman samjha tha main
dagh-e-dil ko dekh kar sharma gae jannat ke phul
haif us ko ek mata-e-raegan samjha tha main
us ke andaz-e-bayan par guftugu qurban hui
apni KHamoshi ko ya-rab be-zaban samjha tha main
kuchh bagule raqs karte aae sahra mein nazar
gard ko un ki ghubar-e-karwan samjha tha main
phul tha KHunin-jigar kawish se nok-e-KHar ki
us ko ek jam-e-sharab-e-arghawan samjha tha main
umr-bhar khata raha afsos daulat ka fareb
jism ke aaram ko aaram-e-jaan samjha tha main
shiddat-e-ranj-o-alam thi zamin-e-lutf-e-hayat
wae-nadani ki is ko jaan-sitan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.