rahat-e-qalb-o-jigar garmi-e-bazar se hai
rāhat-e-qalb-o-jigar garmī-e-bāzār se hai
āj-kal ghar kā tasavvur dar-o-dīvār se hai
zindagī hī ne nahīñ jhaTkā hai dāman apnā
chārāgar maut bhī rūThī huī bīmār se hai
jāma-e-unsur-e-hastī ko kahīñ pheñk aa.uuñ
zindagānī kī musībat to inhī chaar se hai
marham-e-talḳhī-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
zaḳhm gahrā tire alfāz kā talvār se hai
kār-e-vahshat ko sar-anjām yahī to degā
kaam abhī ham ko bahut kuchh dil-e-be-kār se hai
chhoḌ detā hai jahāñ saañs bhī insān kā saath
ab safar ziist kā us manzil-e-dushvār se hai
terā andāz-e-suḳhan 'ḳhizr' judā hai sab se
terī pahchān hī zālim tire ash.ār se hai
rahat-e-qalb-o-jigar garmi-e-bazar se hai
aaj-kal ghar ka tasawwur dar-o-diwar se hai
zindagi hi ne nahin jhaTka hai daman apna
chaaragar maut bhi ruThi hui bimar se hai
jama-e-unsur-e-hasti ko kahin phenk aaun
zindagani ki musibat to inhi chaar se hai
marham-e-talKHi-e-guftar kahan se laun
zaKHm gahra tere alfaz ka talwar se hai
kar-e-wahshat ko sar-anjam yahi to dega
kaam abhi hum ko bahut kuchh dil-e-be-kar se hai
chhoD deta hai jahan sans bhi insan ka sath
ab safar zist ka us manzil-e-dushwar se hai
tera andaz-e-suKHan 'KHizr' juda hai sab se
teri pahchan hi zalim tere ashaar se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.