rahat-e-zist ke saman kahan milte hain
rahat-e-zist ke saman kahan milte hain
Gulamullah Afsoon Bhopali
MORE BYGulamullah Afsoon Bhopali
rāhat-e-zīst ke sāmān kahāñ milte haiñ
aadmī milte haiñ insān kahāñ milte haiñ
zindagī shauq-e-musalsal meñ Dhalī jaatī hai
mere ḳhvāboñ ke paristān kahāñ milte haiñ
aao sailāb o havādis se guzarnā sīkho
log parvarda-e-tūfān kahāñ milte haiñ
jo mire kufr-e-mohabbat ko gavārā kar leñ
is qadar sāhib-e-īmān kahāñ milte haiñ
ham ko takmīl-e-imārat meñ ġhanīmat jaano
ham se majbūr-o-pareshān kahāñ milte haiñ
sāhabo sham.a zamīroñ kī bujhā kar aao
yuuñ vazārat ke qalamdān kahāñ milte haiñ
ġham-gusāroñ kī rivāyāt-e-vafā meñ 'afsūñ'
dil kī taskīn ke sāmān kahāñ milte haiñ
rahat-e-zist ke saman kahan milte hain
aadmi milte hain insan kahan milte hain
zindagi shauq-e-musalsal mein Dhali jati hai
mere KHwabon ke paristan kahan milte hain
aao sailab o hawadis se guzarna sikho
log parwarda-e-tufan kahan milte hain
jo mere kufr-e-mohabbat ko gawara kar len
is qadar sahib-e-iman kahan milte hain
hum ko takmil-e-imarat mein ghanimat jaano
hum se majbur-o-pareshan kahan milte hain
sahabo shama zamiron ki bujha kar aao
yun wazarat ke qalamdan kahan milte hain
gham-gusaron ki riwayat-e-wafa mein 'afsun'
dil ki taskin ke saman kahan milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.