rahat ka zamane mein saman nahin milta
rāhat kā zamāne meñ sāmān nahīñ miltā
insān kī bastī meñ insān nahīñ miltā
kuchh aisī havā badlī afsos zamāne kī
ehsān ke badle meñ ehsān nahīñ miltā
is kār-gah-e-hastī kā itnā fasāna hai
ho nafs jahāñ baaqī irfān nahīñ miltā
aa.iin bahut achchhā da.ave bhī hasīñ lekin
ulfat kā hameñ phir bhī farmān nahīñ miltā
shaddād kī jannat haiñ jamhūr ke sab va.ade
ab dard kā apne kuchh darmāñ nahīñ miltā
kyā baḌh ke nahīñ chūme haiñ dār-o-rasan ham ne
phir bhī hameñ izzat kā īqān nahīñ miltā
go nisf sadī biitī āzādi-e-kāmil ko
rāhat kā 'ġhubār' ab tak sāmān nahīñ miltā
rahat ka zamane mein saman nahin milta
insan ki basti mein insan nahin milta
kuchh aisi hawa badli afsos zamane ki
ehsan ke badle mein ehsan nahin milta
is kar-gah-e-hasti ka itna fasana hai
ho nafs jahan baqi irfan nahin milta
aain bahut achchha dawe bhi hasin lekin
ulfat ka hamein phir bhi farman nahin milta
shaddad ki jannat hain jamhur ke sab wade
ab dard ka apne kuchh darman nahin milta
kya baDh ke nahin chume hain dar-o-rasan hum ne
phir bhi hamein izzat ka iqan nahin milta
go nisf sadi biti aazadi-e-kaamil ko
rahat ka 'ghubar' ab tak saman nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.