rahat ke waste na rifaqat ke waste
rāhat ke vāste na rifāqat ke vāste
ab koī mujh ko chāhe to chāhat ke vāste
ye iḳhtilāf-e-fikr bahut kaam aa.egā
is ko bachā ke rakh kisī saa.at ke vāste
donoñ ko is jahān meñ sach kī talāsh thī
itnā bahut thā ham meñ rifāqat ke vāste
maiñ ḳhvāhish-e-qayām se aage nikal gayā
ab mujh ko mat pukār iqāmat ke vāste
manzil mirī safar hai mirā zād-e-rāh bhī
maiñ chal rahā huuñ aaj masāfat ke vāste
vo saañp thā aur us ko sapere se pyaar thā
itnā bahut thā us kī halākat ke vāste
rahat ke waste na rifaqat ke waste
ab koi mujh ko chahe to chahat ke waste
ye iKHtilaf-e-fikr bahut kaam aaega
is ko bacha ke rakh kisi saat ke waste
donon ko is jahan mein sach ki talash thi
itna bahut tha hum mein rifaqat ke waste
main KHwahish-e-qayam se aage nikal gaya
ab mujh ko mat pukar iqamat ke waste
manzil meri safar hai mera zad-e-rah bhi
main chal raha hun aaj masafat ke waste
wo sanp tha aur us ko sapere se pyar tha
itna bahut tha us ki halakat ke waste
- Book : Gulab Khilty Hain (Pg. 31)
- Author : Dr. Syed Anwar Ahmad
- Publication : Jahangir Books (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.