rahen bana ke aage nikal jaana chahiye
rāheñ banā ke aage nikal jaanā chāhiye
ab to jadīd sāñche meñ Dhal jaanā chāhiye
nafrat kā zahr zehnoñ meñ tum bhar chuke bahut
logoñ ko tum se ab to sañbhal jaanā chāhiye
duniyā ko bāñTnā haiñ ujāle to phir tumheñ
mānind-e-sham.a jalnā pighal jaanā chāhiye
baḌhnā hī chāhte ho baḌho chhāñv kī tarah
lekin na dhuup sā tumheñ Dhal jaanā chāhiye
bastī ke saare logoñ ne patthar uThā liye
ab kāñch ke gharoñ se nikal jaanā chāhiye
Thahre hue haiñ aañsū sarā.e meñ chashm kī
aahoñ ke saath un ko nikal jaanā chāhiye
tīra-shabī ko 'josh' muqaddar na maan lo
hai vaqt ab bhī tum ko sañbhal jaanā chāhiye
rahen bana ke aage nikal jaana chahiye
ab to jadid sanche mein Dhal jaana chahiye
nafrat ka zahr zehnon mein tum bhar chuke bahut
logon ko tum se ab to sanbhal jaana chahiye
duniya ko banTna hain ujale to phir tumhein
manind-e-shama jalna pighal jaana chahiye
baDhna hi chahte ho baDho chhanw ki tarah
lekin na dhup sa tumhein Dhal jaana chahiye
basti ke sare logon ne patthar uTha liye
ab kanch ke gharon se nikal jaana chahiye
Thahre hue hain aansu sarae mein chashm ki
aahon ke sath un ko nikal jaana chahiye
tira-shabi ko 'josh' muqaddar na man lo
hai waqt ab bhi tum ko sanbhal jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.