rahen viran to ujDe hue kuchh ghar honge
rāheñ vīrān to ujḌe hue kuchh ghar hoñge
dasht se baḌh ke mire shahr ke manzar hoñge
yuuñ hī ta.amīr agar hote rahe shīsh-mahal
ek din shahr kī har raah meñ patthar hoñge
dasht meñ ham ne ye maanā ki mileñge vahshī
shahr vāloñ se to har haal meñ behtar hoñge
kyā ḳhabar thī ki gulāboñ se hasīñ hoñToñ par
zahr meñ Duube hue tanz ke nashtar hoñge
tere insāf kā me.aar yahī kahtā hai
jitne ilzām bhī hoñge vo mire sar hoñge
hāl-e-dil kahne se pahle hameñ mālūm na thā
terī āñkhoñ meñ bhī ashkoñ ke samundar hoñge
rahen viran to ujDe hue kuchh ghar honge
dasht se baDh ke mere shahr ke manzar honge
yun hi tamir agar hote rahe shish-mahal
ek din shahr ki har rah mein patthar honge
dasht mein hum ne ye mana ki milenge wahshi
shahr walon se to har haal mein behtar honge
kya KHabar thi ki gulabon se hasin honTon par
zahr mein Dube hue tanz ke nashtar honge
tere insaf ka mear yahi kahta hai
jitne ilzam bhi honge wo mere sar honge
haal-e-dil kahne se pahle hamein malum na tha
teri aankhon mein bhi ashkon ke samundar honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.