rahi koi nahin hai koi rahnuma nahin
raahī koī nahīñ hai koī rahnumā nahīñ
jis raah par chalā huuñ kahīñ naqsh-e-pā nahīñ
sajde mire zamān-o-makāñ se haiñ be-niyāz
ka.aba se but-kade se koī rābta nahīñ
dil hai kahīñ ḳhayāl kahīñ hai nazar kahīñ
ai shaiḳh terā ek bhī sajda ravā nahīñ
be-kaif sī hai raat to be-lutf sā hai din
sach to ye hai ki jiine meñ kuchh bhī mazā nahīñ
shām-o-sahar bahār-o-ḳhizāñ ranj-o-imbisāt
koī bhī inqalāb kī zad se bachā nahīñ
tanqīd kar rahe haiñ vo ash.ār par 'zamīr'
sher-o-suḳhan se jin ko koī vāsta nahīñ
rahi koi nahin hai koi rahnuma nahin
jis rah par chala hun kahin naqsh-e-pa nahin
sajde mere zaman-o-makan se hain be-niyaz
kaba se but-kade se koi rabta nahin
dil hai kahin KHayal kahin hai nazar kahin
ai shaiKH tera ek bhi sajda rawa nahin
be-kaif si hai raat to be-lutf sa hai din
sach to ye hai ki jine mein kuchh bhi maza nahin
sham-o-sahar bahaar-o-KHizan ranj-o-imbisat
koi bhi inqalab ki zad se bacha nahin
tanqid kar rahe hain wo ashaar par 'zamir'
sher-o-suKHan se jin ko koi wasta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.