rahon mein kuchh aise bhi maqamat milenge
rāhoñ meñ kuchh aise bhī maqāmāt mileñge
qadmoñ ke jahāñ mere nishānāt mileñge
ye raat to guzrī hai baḌe kaif meñ lekin
zinda rahe ai dost to kal raat mileñge
pī to ga.e tum ashk mujhe dekh ke lekin
ruḳhsār pe kuchh ab bhī nishānāt mileñge
mai-ḳhāna ho masjid ho kalīsā ho ki mandir
in meñ bhī to kuchh vaqf-e-ḳharābāt mileñge
bāzār meñ bechoge jo tum qaum kī mīrās
phir tum ko bhī tamġhāt-o-ḳhitābāt mileñge
tārīḳh ke khāte meñ mire naam pe tum ko
sadiyoñ ke chukāne ko hisābāt mileñge
āñkhoñ ko paḌho chehre kī hālat pe na jaao
nafrat meñ bhī ulfat ke payāmāt mileñge
chehroñ ke javābāt to tum de chuke paḌh kar
āñkhoñ meñ abhī aur savālāt mileñge
dekhūñgā kahāñ tak vo bhulāte haiñ mujhe 'fauq'
har saañs meñ un ke mire jazbāt mileñge
rahon mein kuchh aise bhi maqamat milenge
qadmon ke jahan mere nishanat milenge
ye raat to guzri hai baDe kaif mein lekin
zinda rahe ai dost to kal raat milenge
pi to gae tum ashk mujhe dekh ke lekin
ruKHsar pe kuchh ab bhi nishanat milenge
mai-KHana ho masjid ho kalisa ho ki mandir
in mein bhi to kuchh waqf-e-KHarabaat milenge
bazar mein bechoge jo tum qaum ki miras
phir tum ko bhi tamghat-o-KHitabaat milenge
tariKH ke khate mein mere nam pe tum ko
sadiyon ke chukane ko hisabaat milenge
aankhon ko paDho chehre ki haalat pe na jao
nafrat mein bhi ulfat ke payamat milenge
chehron ke jawabaat to tum de chuke paDh kar
aankhon mein abhi aur sawalat milenge
dekhunga kahan tak wo bhulate hain mujhe 'fauq'
har sans mein un ke mere jazbaat milenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.