rakh ke Dher mein shoala hai na chingari hai
rakh ke Dher mein shoala hai na chingari hai
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
raakh ke Dher meñ sho.ala hai na chingārī hai
phir bhī farsūda rivāyat kī parastārī hai
hāfiza saath nahīñ chhoḌtā merā ab tak
yaad rakhne kī mujhe aaj bhī bīmārī hai
jhuuT ke naam se nafrat hai magar haq-goī
log kahte haiñ ki chhūt kī bīmārī hai
ham bhī ab apne muḳhātab kī tarah milte haiñ
kam se kam itnī to ham meñ bhī samajhdārī hai
vaqt darkār hai ab ḳhud se taḳhātub ke liye
ḳhud se milnā bhī mire ahd meñ fankārī hai
rakh ke Dher mein shoala hai na chingari hai
phir bhi farsuda riwayat ki parastari hai
hafiza sath nahin chhoDta mera ab tak
yaad rakhne ki mujhe aaj bhi bimari hai
jhuT ke nam se nafrat hai magar haq-goi
log kahte hain ki chhut ki bimari hai
hum bhi ab apne muKHatab ki tarah milte hain
kam se kam itni to hum mein bhi samajhdari hai
waqt darkar hai ab KHud se taKHatub ke liye
KHud se milna bhi mere ahd mein fankari hai
- Book : سائبان غزل (Pg. 62)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.