ram wo wahi rahman hain sabhi maqam uske
raam vo vahī rahmān haiñ sabhī maqām us ke
muḳhtalif zabānoñ meñ muḳhtalif haiñ naam us ke
baḳhsh de jise chāhe nek-nāmiyāñ varna
aadmī vasīla hai ho rahe haiñ kaam us ke
rāste alag lekin sab kī ek manzil hai
kārvāñ sabhī us ke rāhbar tamām us ke
jis kī jaisī karnī hai us kī vaisī bharnī hai
ḳhās-o-ām kī ḳhātir faisle haiñ aam us ke
ham ko is se kyā matlab ham ko is se kyā lenā
jo bhī hai ġhulām us kā ham to haiñ ġhulām us ke
hoñ nabī ki nānak hoñ krishn hoñ ki iisā hoñ
us ke ham-zabāñ ban kar de ga.e payām us ke
chāñd aur sūraj to do nishān-e-azmat haiñ
kar rahe haiñ zāhir ye jalve sub.h-o-shām us ke
ram wo wahi rahman hain sabhi maqam us ke
muKHtalif zabanon mein muKHtalif hain nam us ke
baKHsh de jise chahe nek-namiyan warna
aadmi wasila hai ho rahe hain kaam us ke
raste alag lekin sab ki ek manzil hai
karwan sabhi us ke rahbar tamam us ke
jis ki jaisi karni hai us ki waisi bharni hai
KHas-o-am ki KHatir faisle hain aam us ke
hum ko is se kya matlab hum ko is se kya lena
jo bhi hai ghulam us ka hum to hain ghulam us ke
hon nabi ki nanak hon krishn hon ki isa hon
us ke ham-zaban ban kar de gae payam us ke
chand aur suraj to do nishan-e-azmat hain
kar rahe hain zahir ye jalwe subh-o-sham us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.