ras aai bhi to aai shan-e-mastana mujhe
raas aa.ī bhī to aa.ī shān-e-mastāna mujhe
saarī duniyā kah rahī hai un kā dīvāna mujhe
dil bhī kāshāna hai terā us kī dīvānī na dekh
phir jalānā hai charāġh-e-mehmāñ-ḳhāna mujhe
ġhuncha-e-nauras se Dhalne ko hai tahrīk-e-hayāt
gudgudātī hai shamīm-e-sub.h-e-mai-ḳhāna mujhe
ishq kī vāraftagī bhī ik tilism-e-rāz hai
ḳhud haram ne baḳhsh dī jāgīr-e-but-ḳhāna mujhe
al-madad ai tābnākī-e-jamāl-e-rū-e-dost
nāgavār-e-dīd haiñ vo be-hijābāna mujhe
duur se nazreñ bachā kar jab guzartī hai bahār
gulsitāñ ma.alūm hotā hai azā-ḳhāna mujhe
ḳhud mirī hastī hai 'māhir' ālam-e-anvār-e-husn
jalva-gāh-e-dost huuñ samjho ḳhudā-ḳhāna mujhe
ras aai bhi to aai shan-e-mastana mujhe
sari duniya kah rahi hai un ka diwana mujhe
dil bhi kashana hai tera us ki diwani na dekh
phir jalana hai charagh-e-mehman-KHana mujhe
ghuncha-e-nauras se Dhalne ko hai tahrik-e-hayat
gudgudati hai shamim-e-subh-e-mai-KHana mujhe
ishq ki waraftagi bhi ek tilism-e-raaz hai
KHud haram ne baKHsh di jagir-e-but-KHana mujhe
al-madad ai tabnaki-e-jamal-e-ru-e-dost
nagawar-e-did hain wo be-hijabana mujhe
dur se nazren bacha kar jab guzarti hai bahaar
gulsitan malum hota hai aza-KHana mujhe
KHud meri hasti hai 'mahir' aalam-e-anwar-e-husn
jalwa-gah-e-dost hun samjho KHuda-KHana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.