ras aai mujhe KHudi meri
raas aa.ī mujhe ḳhudī merī
log karte rahe badī merī
is kā sadma shadīd hai mujh ko
baat kHālī chalī ga.ī merī
us ne kuchh der baat maanī to
der tak par nahīñ chalī merī
saaf iz.hār-e-ishq thā us meñ
par vo samjhānā shā.erī merī
ab vo kahtā hai jaan hāzir hai
jaan jis ne nikāl lī merī
'mīr'-o-'ġhālib' kā bhī zamāna thā
par hai ikkīsvīñ sadī merī
saath us ke hai bazm ik 'az.har'
hogī mahsūs kyā kamī merī
ras aai mujhe KHudi meri
log karte rahe badi meri
is ka sadma shadid hai mujh ko
baat kHali chali gai meri
us ne kuchh der baat mani to
der tak par nahin chali meri
saf izhaar-e-ishq tha us mein
par wo samjhana shaeri meri
ab wo kahta hai jaan hazir hai
jaan jis ne nikal li meri
'mir'-o-'ghaalib' ka bhi zamana tha
par hai ikkiswin sadi meri
sath us ke hai bazm ek 'azhar'
hogi mahsus kya kami meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.