ras aane lagi thi tanhai
raas aane lagī thī tanhā.ī
yād-e-mahbūb tū kahāñ aa.ī
phir uThātā huuñ minnat-e-tiflāñ
phir hai saudā-e-nañg-e-rusvā.ī
phir vahī kārobār-e-rāz-o-niyāz
phir vahī shauq-e-ḳhalvat-ārā.ī
phir vahī āstāñ hai aur maiñ huuñ
phir vahī sar hai aur jabīñ-sā.ī
phir vahī sub.h aur azm-e-safar
phir vahī shaam aur tanhā.ī
dekh kar tujh ko dekhtā hī rahā
ek dīdār kā tamannā.ī
terī ḳhidmat meñ nazr hai ye ġhazal
ai sarāpā ġhazal kī ra.anā.ī
ras aane lagi thi tanhai
yaad-e-mahbub tu kahan aai
phir uThata hun minnat-e-tiflan
phir hai sauda-e-nang-e-ruswai
phir wahi karobar-e-raaz-o-niyaz
phir wahi shauq-e-KHalwat-arai
phir wahi aastan hai aur main hun
phir wahi sar hai aur jabin-sai
phir wahi subh aur azm-e-safar
phir wahi sham aur tanhai
dekh kar tujh ko dekhta hi raha
ek didar ka tamannai
teri KHidmat mein nazr hai ye ghazal
ai sarapa ghazal ki ranai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.