ras kab kis ko aae mere raste
raas kab kis ko aa.e mire rāste
maiñ banātā rahā huuñ na.e rāste
maiñ ne pūchhā thā kitnā safar aur hai
jaane kyā soch kar hañs diye rāste
aur pahre baiThā dījiye raah meñ
aur khul jā.eñge soch ke rāste
ruk gayā huuñ to gard-e-safar tak nahīñ
maiñ chalā thā to hamrāh the rāste
sar meñ saudā nahīñ manziloñ kā rahā
mujh ko āvāz dete rahe rāste
duur hotī ga.iiñ jis qadar manzileñ
ham se mānūs hote ga.e rāste
har qadam ek mash.al sī jaltī ga.ī
jab chale ham to bante ga.e rāste
ras kab kis ko aae mere raste
main banata raha hun nae raste
main ne puchha tha kitna safar aur hai
jaane kya soch kar hans diye raste
aur pahre baiTha dijiye rah mein
aur khul jaenge soch ke raste
ruk gaya hun to gard-e-safar tak nahin
main chala tha to hamrah the raste
sar mein sauda nahin manzilon ka raha
mujh ko aawaz dete rahe raste
dur hoti gain jis qadar manzilen
hum se manus hote gae raste
har qadam ek mashal si jalti gai
jab chale hum to bante gae raste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.