rasta ab rokne wala ye mera kaun hai
rāsta ab rokne vaalā ye merā kaun hai
vo nahīñ hai dūsrā phir us ke jaisā kaun hai
kaun hai māmūr merī muḳhbirī par in dinoñ
merī ḳhātir ye pas-e-dīvār Thahrā kaun hai
kaun mere rū-ba-rū hai ā.ina-dar-ā.ina
mere pīchhe chal rahā hai jo ye saaya kaun hai
jin se thī pahchān vo sab jā base haiñ duur des
merī bastī meñ rahā merā shanāsā kaun hai
tum se vābasta tumhāre chāhne vaale bahut
pūchhtā huuñ maiñ batāo mere jaisā kaun hai
har qadam har saañs par mazbūt hai us kī giraft
mere pīchhe ye paḌā mere ḳhudāyā kaun hai
TuuT kar bikhrā hai mere haath se merā vajūd
is jahāñ meñ mujh sā mahrūm-e-tamannā kaun hai
ḳhuun ke rishte bhī jhūTe ho ga.e sābit 'matīn'
kis ko maiñ apnā kahūñ merā shanāsā kaun hai
rasta ab rokne wala ye mera kaun hai
wo nahin hai dusra phir us ke jaisa kaun hai
kaun hai mamur meri muKHbiri par in dinon
meri KHatir ye pas-e-diwar Thahra kaun hai
kaun mere ru-ba-ru hai aaina-dar-aina
mere pichhe chal raha hai jo ye saya kaun hai
jin se thi pahchan wo sab ja base hain dur des
meri basti mein raha mera shanasa kaun hai
tum se wabasta tumhaare chahne wale bahut
puchhta hun main batao mere jaisa kaun hai
har qadam har sans par mazbut hai us ki giraft
mere pichhe ye paDa mere KHudaya kaun hai
TuT kar bikhra hai mere hath se mera wajud
is jahan mein mujh sa mahrum-e-tamanna kaun hai
KHun ke rishte bhi jhuTe ho gae sabit 'matin'
kis ko main apna kahun mera shanasa kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.