rasta hai muhaal jaisa kuchh
rāsta hai muhāl jaisā kuchh
hausla hai majāl jaisā kuchh
dil pe aksar guzartā rahtā hai
gardish-e-māh-o-sāl jaisā kuchh
ishq kyā hai pata nahīñ par hai
hijr jaisā visāl jaisā kuchh
us ke baare meñ aatā rahtā hai
dil meñ aksar ḳhayāl jaisā kuchh
vasl meñ us ke lab pe jaane kyā
thartharā ke savāl jaisā kuchh
zehn-o-dil meñ hai ek muddat se
dard jaisā malāl jaisā kuchh
paañv uThte nahīñ uThā.e bhī
kuchh hai paañv meñ jaal jaisā kuchh
us taraf hī chalī hai kyoñ duniyā
jis taraf hai zavāl jaisā kuchh
hai giraftār-e-jazr-o-mad hastī
kuchh to ho e'tidāl jaisā kuchh
mujh ko taslīm hai ḳhudā mere
tū ne baḳhshā hai haal jaisā kuchh
rasta hai muhaal jaisa kuchh
hausla hai majal jaisa kuchh
dil pe aksar guzarta rahta hai
gardish-e-mah-o-sal jaisa kuchh
ishq kya hai pata nahin par hai
hijr jaisa visal jaisa kuchh
us ke bare mein aata rahta hai
dil mein aksar KHayal jaisa kuchh
wasl mein us ke lab pe jaane kya
tharthara ke sawal jaisa kuchh
zehn-o-dil mein hai ek muddat se
dard jaisa malal jaisa kuchh
panw uThte nahin uThae bhi
kuchh hai panw mein jal jaisa kuchh
us taraf hi chali hai kyon duniya
jis taraf hai zawal jaisa kuchh
hai giraftar-e-jazr-o-mad hasti
kuchh to ho e'tidal jaisa kuchh
mujh ko taslim hai KHuda mere
tu ne baKHsha hai haal jaisa kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.