rasta koi mil gaya hota
rāsta koī mil gayā hotā
do qadam tū agar chalā hotā
maiñ na hotā to kyā huā hotā
kyā duā hotī kyā ḳhudā hotā
vaqt kī bhiiḌ meñ akelā thā
saath chaltā to rahnumā hotā
pārsāoñ kī anjuman hotī
pārsā.ī tirā bhalā hotā
tere hote hue huā kyā kyā
tū na hotā to kyā huā hotā
vo hai kis kā jo har kisī kā hai
merā apnā koī ḳhudā hotā
ham-safar apne āshnā hote
jism-o-jāñ meñ na fāsla hotā
zaḳhm dene kī aarzū kī thī
zaḳhm khāne kā hausla hotā
ishq darmāñ hai ishq-bāzī kā
jaan lete to kyā maza hotā
rasta koi mil gaya hota
do qadam tu agar chala hota
main na hota to kya hua hota
kya dua hoti kya KHuda hota
waqt ki bhiD mein akela tha
sath chalta to rahnuma hota
parsaon ki anjuman hoti
parsai tera bhala hota
tere hote hue hua kya kya
tu na hota to kya hua hota
wo hai kis ka jo har kisi ka hai
mera apna koi KHuda hota
ham-safar apne aashna hote
jism-o-jaan mein na fasla hota
zaKHm dene ki aarzu ki thi
zaKHm khane ka hausla hota
ishq darman hai ishq-bazi ka
jaan lete to kya maza hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.