rasta mujhse alag tum bhi bana sakte ho
rāsta mujh se alag tum bhī banā sakte ho
tum jo chāho to mujhe chhoḌ ke jā sakte ho
ātish-e-hijr ke sho'loñ ne jalāyā hai mujhe
muskurā kar unheñ gulzār banā sakte ho
bin tumhāre maiñ jiyūñ is se hai behtar marnā
apne hāthoñ se mujhe zahr pilā sakte ho
be-sabab mere masā.ib kā uḌāte ho mazāq
sāmne aao agar aag bujhā sakte ho
dekhne 'ishq kī rusvā.ī ko aa.e haiñ sabhī
ho sake to zarā parda ye uThā sakte ho
dard duniyā kā liye phirte ho 'ahmad' dil meñ
ham ko mā'lūm hai tum ġham bhī chhupā sakte ho
rasta mujh se alag tum bhi bana sakte ho
tum jo chaho to mujhe chhoD ke ja sakte ho
aatish-e-hijr ke sho'lon ne jalaya hai mujhe
muskura kar unhen gulzar bana sakte ho
bin tumhaare main jiyun is se hai behtar marna
apne hathon se mujhe zahr pila sakte ho
be-sabab mere masaib ka uDate ho mazaq
samne aao agar aag bujha sakte ho
dekhne 'ishq ki ruswai ko aae hain sabhi
ho sake to zara parda ye uTha sakte ho
dard duniya ka liye phirte ho 'ahmad' dil mein
hum ko ma'lum hai tum gham bhi chhupa sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.