rasta samundar ka jab ruka hua paya
rāsta samundar kā jab rukā huā paayā
aur bhī kināroñ ko kāTtā huā paayā
der tak hinsā thā maiñ dostoñ kī mahfil meñ
lauT kar na jaane kyuuñ dil dukhā huā paayā
dhuup ne TaTolā jab munjamid chaTānoñ ko
barf ke tale laavā khaultā huā paayā
sochiye kaheñge kyā log aise mausam ko
jis meñ sabz shāḳhoñ ko sūkhtā huā paayā
mere vāste shāyad ḳhat meñ thā vahī jumla
tez raushnā.ī se jo kaTā huā paayā
niiñd kī parī āḳhir ho ga.ī ḳhafā ham se
aur koī āñkhoñ meñ jab chhupā huā paayā
rasta samundar ka jab ruka hua paya
aur bhi kinaron ko kaTta hua paya
der tak hinsa tha main doston ki mahfil mein
lauT kar na jaane kyun dil dukha hua paya
dhup ne TaTola jab munjamid chaTanon ko
barf ke tale lawa khaulta hua paya
sochiye kahenge kya log aise mausam ko
jis mein sabz shaKHon ko sukhta hua paya
mere waste shayad KHat mein tha wahi jumla
tez raushnai se jo kaTa hua paya
nind ki pari aaKHir ho gai KHafa hum se
aur koi aankhon mein jab chhupa hua paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.