raste hamwar karte hi gae
rāste hamvār karte hī ga.e
manzileñ mismār karte hī ga.e
ghar ko vīrāna banā Daalā magar
dasht ko gulzār karte hī ga.e
sahn-e-dil kholā rafīqoñ ke liye
vo use bāzār karte hī ga.e
nuur ke aage kiyā āñkhoñ ko band
aur phir dīdār karte hī ga.e
sab se poshīda rakhā apnā hunar
bas use tayyār karte hī ga.e
daad dene par vo āmāda the aur
'zarra' ham inkār karte hī ga.e
raste hamwar karte hi gae
manzilen mismar karte hi gae
ghar ko virana bana Dala magar
dasht ko gulzar karte hi gae
sahn-e-dil khola rafiqon ke liye
wo use bazar karte hi gae
nur ke aage kiya aankhon ko band
aur phir didar karte hi gae
sab se poshida rakha apna hunar
bas use tayyar karte hi gae
dad dene par wo aamada the aur
'zarra' hum inkar karte hi gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.