raste manzilon ke bani zindagi
rāste manziloñ ke banī zindagī
to kabhī rāste meñ milī zindagī
ret sī muTThiyoñ se phisaltī rahī
qatra-qatra pighaltī rahī zindagī
is zamāne ko paiġhām de jā.egī
chāhe achchhī ho yā phir burī zindagī
merī rahbar bhī hai merī hamrāz bhī
de rahī hai nasīhat tabhī zindagī
har taraf Dher lāshoñ ke dikhne lage
hādsoñ meñ banī sansanī zindagī
jaan le ke hathelī pe chaltī huuñ maiñ
maut ko jī rahī hai mirī zindagī
aaj se tere mere alag rāste
vo tirī zindagī ye mirī zindagī
jaane kab se rukī thī tirī aas meñ
āñsuoñ meñ jamī barf sī zindagī
in havāoñ ke tevar baḌe saḳht haiñ
dekh sarhad kidhar jā.egī zindagī
raste manzilon ke bani zindagi
to kabhi raste mein mili zindagi
ret si muTThiyon se phisalti rahi
qatra-qatra pighalti rahi zindagi
is zamane ko paigham de jaegi
chahe achchhi ho ya phir buri zindagi
meri rahbar bhi hai meri hamraaz bhi
de rahi hai nasihat tabhi zindagi
har taraf Dher lashon ke dikhne lage
hadson mein bani sansani zindagi
jaan le ke hatheli pe chalti hun main
maut ko ji rahi hai meri zindagi
aaj se tere mere alag raste
wo teri zindagi ye meri zindagi
jaane kab se ruki thi teri aas mein
aansuon mein jami barf si zindagi
in hawaon ke tewar baDe saKHt hain
dekh sarhad kidhar jaegi zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.