raste mein aa rahe hain jo nadi nale na dekh
rāste meñ aa rahe haiñ jo nadī naale na dekh
manziloñ kī chaah hai to paañv ke chhāle na dekh
rāh-e-haq par gāmzan rah aur haq kī baat kar
kyā sitam Dhā.eñge tujh par ye sitam vaale na dekh
himmat-e-mardāñ agar qaa.em hai to phir fikr kyā
zulm ke sar ko kuchal de haq ke matvāle na dekh
mere bhaa.ī aadmī kī ādmiyyat ko parakh
muflis-o-nādār yā phir māl-o-zar vaale na dekh
husn-e-bātin husn-e-zāhir se baḌī shai hai na bhuul
rang haiñ donoñ ḳhudā ke gore aur kaale na dekh
ye hai tārīḳhī 'imārat is kī 'azmat ko salām
gard ālūda 'imārat meñ lage jaale na dekh
khul jā sim-sim khul jā sim-sim kab talak chillā.egā
tū alī-bābā nahīñ hai toḌ de taale na dekh
raste mein aa rahe hain jo nadi nale na dekh
manzilon ki chah hai to panw ke chhaale na dekh
rah-e-haq par gamzan rah aur haq ki baat kar
kya sitam Dhaenge tujh par ye sitam wale na dekh
himmat-e-mardan agar qaem hai to phir fikr kya
zulm ke sar ko kuchal de haq ke matwale na dekh
mere bhai aadmi ki aadmiyyat ko parakh
muflis-o-nadar ya phir mal-o-zar wale na dekh
husn-e-baatin husn-e-zahir se baDi shai hai na bhul
rang hain donon KHuda ke gore aur kale na dekh
ye hai tariKHi 'imarat is ki 'azmat ko salam
gard aaluda 'imarat mein lage jale na dekh
khul ja sim-sim khul ja sim-sim kab talak chillaega
tu ali-baba nahin hai toD de tale na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.