raste mein kisi manzil pe bhi aaram na lun
rāste meñ kisī manzil pe bhī ārām na luuñ
vo musāfir huuñ ki rukne kā kahīñ naam na luuñ
mere hālāt kā muddat se taqāzā ye hai
apne sar zulm se nafrat kā maiñ ilzām na luuñ
habs ke giit hī suntā rahūñ is jañgal meñ
umr bhar dast-e-sabā se koī paiġhām na luuñ
band kar luuñ maiñ ye āñkheñ ki sitam hotā hai
apnī āñkhoñ se zamāne meñ koī kaam na luuñ
raste mein kisi manzil pe bhi aaram na lun
wo musafir hun ki rukne ka kahin nam na lun
mere haalat ka muddat se taqaza ye hai
apne sar zulm se nafrat ka main ilzam na lun
habs ke git hi sunta rahun is jangal mein
umr bhar dast-e-saba se koi paigham na lun
band kar lun main ye aankhen ki sitam hota hai
apni aankhon se zamane mein koi kaam na lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.