raste par hai kai ki maKHmal
rāste par hai kaa.ī kī maḳhmal
paañv terā kahīñ na jaa.e phisal
haat phailā.e ḳhushk peḌoñ ne
dekh kar duur dūdhiyā bādal
dil hai ḳhāmosh jhiil kī sūrat
kañkarī pheñkiye ki ho halchal
sarfaroshoñ ko hai talāsh us kī
chhup ga.ī hai kahāñ pe jā ke ajal
khol kar kaag soch meñ gum huuñ
baḌbaḌātī hai mez par botal
aap kis peḌ ko bachā.eñge
jal rahā hai tamām hī jañgal
pech-o-ḳham haiñ kahīñ na hariyālī
ziist maidān kī tarah chaTyal
raste par hai kai ki maKHmal
panw tera kahin na jae phisal
hat phailae KHushk peDon ne
dekh kar dur dudhiya baadal
dil hai KHamosh jhil ki surat
kankari phenkiye ki ho halchal
sarfaroshon ko hai talash us ki
chhup gai hai kahan pe ja ke ajal
khol kar kag soch mein gum hun
baDbaDati hai mez par botal
aap kis peD ko bachaenge
jal raha hai tamam hi jangal
pech-o-KHam hain kahin na hariyali
zist maidan ki tarah chaTyal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.