raste wahi justuju wahi zindagi
rāste vahī justujū vahī zindagī
vahī tere saath kī aarzū vahī zindagī
vahī ābloñ se bhare hue mire paañv haiñ
vahī dasht hai vahī hāo-hū vahī zindagī
vahī ḳhvāb hai vahī jaag jaane kā ḳhauf hai
vahī Dar ki paas nahīñ hai tū vahī zindagī
vahī zabt-e-dil ki jise koī na samajh sakā
vahī pyaas hai vahī āb-e-jū vahī zindagī
vahī ashk jo nahīñ bah sake mirī aañkh se
vahī zaḳhm khā ke maiñ ḳhush-gulū vahī zindagī
vahī zindagī kī sharāb siine ko chīrtī
vahī talḳh ghūñT vahī subū vahī zindagī
vahī baam jis pe dubāra koī na aa sakā
vahī aañkh jo hai lahū lahū vahī zindagī
raste wahi justuju wahi zindagi
wahi tere sath ki aarzu wahi zindagi
wahi aablon se bhare hue mere panw hain
wahi dasht hai wahi hao-hu wahi zindagi
wahi KHwab hai wahi jag jaane ka KHauf hai
wahi Dar ki pas nahin hai tu wahi zindagi
wahi zabt-e-dil ki jise koi na samajh saka
wahi pyas hai wahi aab-e-ju wahi zindagi
wahi ashk jo nahin bah sake meri aankh se
wahi zaKHm kha ke main KHush-gulu wahi zindagi
wahi zindagi ki sharab sine ko chirti
wahi talKH ghunT wahi subu wahi zindagi
wahi baam jis pe dubara koi na aa saka
wahi aankh jo hai lahu lahu wahi zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.