raat aai hai ghazal kahne ke pahlu nikle
raat aa.ī hai ġhazal kahne ke pahlū nikle
kunj-e-māzī se tirī yaad ke aahū nikle
phir kabhī khā na sakā dil kisī hamdam kā fareb
kitne sachche tire iḳhlās ke jaadū nikle
jab bhī bichhḌā hai koī shaḳhs tirī yaad aa.ī
har na.e ġham se tirī yaad ke pahlū nikle
ashk umḌe to sulagne lagīñ vīrāñ palkeñ
ḳhushk pattoñ ko jalāte hue jugnū nikle
dil kā har karb yuuñ she’roñ meñ ubhar aayā hai
jaise murjhāte hue phuul se ḳhushbū nikle
raat aai hai ghazal kahne ke pahlu nikle
kunj-e-mazi se teri yaad ke aahu nikle
phir kabhi kha na saka dil kisi hamdam ka fareb
kitne sachche tere iKHlas ke jadu nikle
jab bhi bichhDa hai koi shaKHs teri yaad aai
har nae gham se teri yaad ke pahlu nikle
ashk umDe to sulagne lagin viran palken
KHushk patton ko jalate hue jugnu nikle
dil ka har karb yun she’ron mein ubhar aaya hai
jaise murjhate hue phul se KHushbu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.