raat aai to taDapne ke bahane aae
raat aa.ī to taḌapne ke bahāne aa.e
ashk āñkhoñ meñ to hoñToñ pe tarāne aa.e
phir tasavvur meñ hī ham ruuTh ke badle pahlū
phir ḳhayāloñ meñ hī vo ham ko manāne aa.e
un ke kūche meñ jo ik 'umr guzārī ham ne
ye kahānī bhī vo ġhairoñ ko sunāne aa.e
ye bhī sach hai ki har ik zaḳhm milā hai un se
aur vahī chupke se marham bhī lagāne aa.e
jazba-e-dīd-e-tasavvur ko uThā.e 'āshā'
apnī āñkhoñ meñ liye ḳhvāb purāne aa.e
raat aai to taDapne ke bahane aae
ashk aankhon mein to honTon pe tarane aae
phir tasawwur mein hi hum ruTh ke badle pahlu
phir KHayalon mein hi wo hum ko manane aae
un ke kuche mein jo ek 'umr guzari hum ne
ye kahani bhi wo ghairon ko sunane aae
ye bhi sach hai ki har ek zaKHm mila hai un se
aur wahi chupke se marham bhi lagane aae
jazba-e-did-e-tasawwur ko uThae 'asha'
apni aankhon mein liye KHwab purane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.