raat aankhon ke darichon mein saja di gai hai
raat āñkhoñ ke darīchoñ meñ sajā dī ga.ī hai
ki mujhe jāgte rahne kī sazā dī ga.ī hai
ek sūrat thī mire 'ishq kā sarmāya-e-kul
aur vo shakl thī terī so bhulā dī ga.ī hai
ab kahāñ jā.ūñ maiñ ḳhvāboñ kī parastish karne
mere andar koī masjid thī jo Dhā dī ga.ī hai
mujh meñ hī lauT ke aane lage vahshat ke ġhazāl
kyā mire dasht meñ dīvār uThā dī ga.ī hai
sab jahānoñ ko sameTā gayā merī ḳhātir
ban gayā maiñ to mirī ḳhaak uḌā dī ga.ī hai
raat aankhon ke darichon mein saja di gai hai
ki mujhe jagte rahne ki saza di gai hai
ek surat thi mere 'ishq ka sarmaya-e-kul
aur wo shakl thi teri so bhula di gai hai
ab kahan jaun main KHwabon ki parastish karne
mere andar koi masjid thi jo Dha di gai hai
mujh mein hi lauT ke aane lage wahshat ke ghazal
kya mere dasht mein diwar uTha di gai hai
sab jahanon ko sameTa gaya meri KHatir
ban gaya main to meri KHak uDa di gai hai
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 46)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 44)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.