raat aankhon mein hi bitai hai
raat āñkhoñ meñ hī bitā.ī hai
ab kiran pahlī jhilmilā.ī hai
is udāsī kā kyā kareñ bolo
chhūTtī hī nahīñ ye kaa.ī hai
aatā jaatā hai sukh to mehmāñ sā
ban gayā dukh ye ghar-jamā.ī hai
chaa.e tulsī kī pattiyoñ vaalī
maañ bahut aaj yaad aa.ī hai
apnī tahzīb ko na luTne de
apne purkhoñ kī ye kamā.ī hai
bhar ga.iiñ pal meñ sūkhī nadiyāñ sab
aañkh phir koī DabDabā.ī hai
kal ke sūraj kā ḳhvāb dekh 'animesh'
sham' ham ne bhī ik jalā.ī hai
raat aankhon mein hi bitai hai
ab kiran pahli jhilmilai hai
is udasi ka kya karen bolo
chhuTti hi nahin ye kai hai
aata jata hai sukh to mehman sa
ban gaya dukh ye ghar-jamai hai
chae tulsi ki pattiyon wali
man bahut aaj yaad aai hai
apni tahzib ko na luTne de
apne purkhon ki ye kamai hai
bhar gain pal mein sukhi nadiyan sab
aankh phir koi DabDabai hai
kal ke suraj ka KHwab dekh 'animesh'
sham' hum ne bhi ek jalai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.