raat apne badan ki KHushbu se
raat apne badan kī ḳhushbū se
kaash mahkātī sab kī sāñsoñ ko
kaash har rang se sajātā maiñ
apnī ġhazloñ ko apnī nazmoñ ko
kaash har kārobār-e-duniyā meñ
raas aa.e qarār nazroñ ko
kaash ham hote bartarī kī misāl
ḳhaar karte na apne sajdoñ ko
kaash aadam ko sajda karne par
rashk aatā sabhī farishtoñ ko
kaash ham apnī qadr karte aap
baḳhshte iftiḳhār nasloñ ko
kaash firqoñ meñ ham na yuuñ 'āsim'
bāñTte apne pyāre bachchoñ ko
raat apne badan ki KHushbu se
kash mahkati sab ki sanson ko
kash har rang se sajata main
apni ghazlon ko apni nazmon ko
kash har karobar-e-duniya mein
ras aae qarar nazron ko
kash hum hote bartari ki misal
KHar karte na apne sajdon ko
kash aadam ko sajda karne par
rashk aata sabhi farishton ko
kash hum apni qadr karte aap
baKHshte iftiKHar naslon ko
kash firqon mein hum na yun 'asim'
banTte apne pyare bachchon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.