raat-bhar fasl-e-bahaar aane ka saman hona
rāt-bhar fasl-e-bahār aane kā sāmāñ honā
sub.h pau phaTte hī hāthoñ meñ girebāñ honā
tum mirā haal na dekho ki mileñgī nazreñ
mujh se dekhā nahīñ jā.egā pashemāñ honā
hijr aur jī ke bahal jaane kī koshish tauba
mushkileñ aur baġhair aap ke āsāñ honā
merī kashtī ko bahar-hāl hai maujoñ se lagāv
ho jo har mauj ko hai shāmil-e-tūfāñ honā
chheḌ dī zulm kī taujīh salāmat rahiye
sharm aa.ī bhī to aaya na pashemāñ honā
apne hī dil meñ khile phuul se kahtā hai 'razā'
tū jahāñ hai use raas aa.e gulistāñ honā
raat-bhar fasl-e-bahaar aane ka saman hona
subh pau phaTte hi hathon mein gireban hona
tum mera haal na dekho ki milengi nazren
mujh se dekha nahin jaega pasheman hona
hijr aur ji ke bahal jaane ki koshish tauba
mushkilen aur baghair aap ke aasan hona
meri kashti ko bahar-haal hai maujon se lagaw
ho jo har mauj ko hai shamil-e-tufan hona
chheD di zulm ki taujih salamat rahiye
sharm aai bhi to aaya na pasheman hona
apne hi dil mein khile phul se kahta hai 'raza'
tu jahan hai use ras aae gulistan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.