raat bhar main KHwab ban kar uski wahshat dekhti
raat bhar maiñ ḳhvāb ban kar us kī vahshat dekhtī
kaif-eXulfat meñ jo muzmar hai vo shiddat dekhtī
ik sulagtī aag ban kar rah gayā merā vajūd
aag jal kar raakh ho jaatī to hiddat dekhtī
mo.ajiza kuchh yuuñ huā yūsuf zuleḳhā mil ga.e
mujh ko merā pyaar mil jaatā to qudrat dekhtī
bad-kalāmī par vo nādim hai mujhe hotā yaqīñ
us kī āñkhoñ meñ agar ik baar ḳhiffat dekhtī
mere aañsū us ke lab chhū kar mujhe āvāz deñ
kaash mahrūmī merī itnī to farhat dekhtī
mujh ko lagtā ḳhvāb jaise sab haqīqat ban ga.e
kuchh dinoñ maiñ paas rah kar us kī ulfat dekhtī
kaash maiñ ik baar miltī us se pahle kī tarah
aur phir us se bichhaḌ jaane kī lazzat dekhtī
hārne kī aarzū meñ pyaar kā rasta chunā
jītne kī aarzū hotī to 'nusrat' dekhtī
raat bhar main KHwab ban kar us ki wahshat dekhti
kaif-eXulfat mein jo muzmar hai wo shiddat dekhti
ek sulagti aag ban kar rah gaya mera wajud
aag jal kar rakh ho jati to hiddat dekhti
moajiza kuchh yun hua yusuf zuleKHa mil gae
mujh ko mera pyar mil jata to qudrat dekhti
bad-kalami par wo nadim hai mujhe hota yaqin
us ki aankhon mein agar ek bar KHiffat dekhti
mere aansu us ke lab chhu kar mujhe aawaz den
kash mahrumi meri itni to farhat dekhti
mujh ko lagta KHwab jaise sab haqiqat ban gae
kuchh dinon main pas rah kar us ki ulfat dekhti
kash main ek bar milti us se pahle ki tarah
aur phir us se bichhaD jaane ki lazzat dekhti
haarne ki aarzu mein pyar ka rasta chuna
jitne ki aarzu hoti to 'nusrat' dekhti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.