raat bhar tha main kisi KHwab mein gum
raat bhar thā maiñ kisī ḳhvāb meñ gum
mauj-dar-mauj thā girdāb meñ gum
gahre paanī kā shanāvar thā kabhī
dekhnā ab use pāyāb meñ gum
vajd meñ aa.uuñ to raqsāñ sar-e-bazm
aur kabhī ḳhalvat-e-mehrāb meñ gum
ek fariyād gulū-basta rahī
jaise naġhma kisī mizrāb meñ gum
dar-ba-dar honā muqaddar Thahrā
jab tavakkul huā asbāb meñ gum
ham se hairat kā safar tai na huā
ham ki the manzar-e-nāyāb meñ gum
ḳhushk hoñ āñkheñ to DhūñDeñ tirā aks
tū kahāñ jā ke huā aab meñ gum
raat bhar tha main kisi KHwab mein gum
mauj-dar-mauj tha girdab mein gum
gahre pani ka shanawar tha kabhi
dekhna ab use payab mein gum
wajd mein aaun to raqsan sar-e-bazm
aur kabhi KHalwat-e-mehrab mein gum
ek fariyaad gulu-basta rahi
jaise naghma kisi mizrab mein gum
dar-ba-dar hona muqaddar Thahra
jab tawakkul hua asbab mein gum
hum se hairat ka safar tai na hua
hum ki the manzar-e-nayab mein gum
KHushk hon aankhen to DhunDen tera aks
tu kahan ja ke hua aab mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.