raat dekha tha bhagta jangal
raat dekhā thā bhāgtā jangal
ek vahshat meñ hāñptā jangal
ik shikārī ne fāḳhta maarī
dard maare thā kāñptā jangal
mujh ko apnā hī ḳhauf hai sāhab
mere andar hai jāgtā jangal
bārishoñ meñ dhamāl paḌtī hai
buuñd pī kar hai nāchtā jangal
kis ne bo.e haiñ sahn meñ kāñTe
kaun ghar ghar hai bāñTtā jangal
raat bastī meñ phir utartī hai
pahle us ko hai pāltā jangal
ab darinde haiñ shahr meñ phirte
kaash 'bābar' na kāTtā jangal
raat dekha tha bhagta jangal
ek wahshat mein hanpta jangal
ek shikari ne faKHta mari
dard mare tha kanpta jangal
mujh ko apna hi KHauf hai sahab
mere andar hai jagta jangal
barishon mein dhamal paDti hai
bund pi kar hai nachta jangal
kis ne boe hain sahn mein kanTe
kaun ghar ghar hai banTta jangal
raat basti mein phir utarti hai
pahle us ko hai palta jangal
ab darinde hain shahr mein phirte
kash 'babar' na kaTta jangal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.