raat din ek sa rahta hai ujala mere ghar
raat din ek sā rahtā hai ujālā mire ghar
ātishīñ aah hai yā aaTh pahar kī battī
paḌ ga.ī rakhte hī nāsūr-e-jigar meñ ThanDak
us kā paikāñ bhī hai kyā ḳhuub asar kī battī
shab-e-furqat kā añdherā na gayā par na gayā
kaam kuchh mom kī aa.ī na agar kī battī
raat ghar us ke diye meñ kahīñ jaltī thī zarūr
tār-hā-e-nigah-e-ahl-e-nazar kī battī
sham.a kī mujh ko zarūrat nahīñ vallāh 'zahīr'
merī raushan hai har ik misra-e-tar kī battī
raat din ek sa rahta hai ujala mere ghar
aatishin aah hai ya aaTh pahar ki batti
paD gai rakhte hi nasur-e-jigar mein ThanDak
us ka paikan bhi hai kya KHub asar ki batti
shab-e-furqat ka andhera na gaya par na gaya
kaam kuchh mom ki aai na agar ki batti
raat ghar us ke diye mein kahin jalti thi zarur
tar-ha-e-nigah-e-ahl-e-nazar ki batti
shama ki mujh ko zarurat nahin wallah 'zahir'
meri raushan hai har ek misra-e-tar ki batti
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 101)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.