raat din gaDhte rahe yunhi fasane kitne
raat din gaḌhte rahe yūñhī fasāne kitne
dil ko bahlāne ko DhūñDe haiñ bahāne kitne
ḳhāk-e-parvāna uḌī sham-e-shabistāñ bhī bujhī
rah-e-ulfat meñ miTe mujh se na jaane kitne
sarguzasht-e-dil-e-barbād sunāne ke liye
sāz-e-ayyām pe bajte haiñ tarāne kitne
aarzū ḳhāk-basar aur mohabbat barbād
kishvar-e-husn meñ ujḌe haiñ gharāne kitne
marg-e-amboh kabhī shām-e-ġharībāñ hai kabhī
zindagī meñ haiñ abhī jashn manāne kitne
kabhī afsurda tabassum kabhī be-vaj.h malāl
ruup dikhlā.e tire nāz-o-adā ne kitne
ek ham the ki rahe vasl se mahrūm 'zubair'
zulf-o-gesū se mahakte rahe shāne kitne
raat din gaDhte rahe yunhi fasane kitne
dil ko bahlane ko DhunDe hain bahane kitne
KHak-e-parwana uDi sham-e-shabistan bhi bujhi
rah-e-ulfat mein miTe mujh se na jaane kitne
sarguzasht-e-dil-e-barbaad sunane ke liye
saz-e-ayyam pe bajte hain tarane kitne
aarzu KHak-basar aur mohabbat barbaad
kishwar-e-husn mein ujDe hain gharane kitne
marg-e-amboh kabhi sham-e-ghariban hai kabhi
zindagi mein hain abhi jashn manane kitne
kabhi afsurda tabassum kabhi be-wajh malal
rup dikhlae tere naz-o-ada ne kitne
ek hum the ki rahe wasl se mahrum 'zubair'
zulf-o-gesu se mahakte rahe shane kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.