raat-din ka sab sukun bechainiyon mein aa gaya hai
rāt-din kā sab sukūñ bechainiyoñ meñ aa gayā hai
dard saarā niiñd kī kuchh goliyoñ meñ aa gayā hai
do baras meñ hādsoñ ne kar diyā hai haal aisā
mujh meñ jo thā shor vo ḳhāmoshiyoñ meñ aa gayā hai
ik judā.ī lafz guzrā us se ho kar train jaise
aur koī train kī in paTriyoñ meñ aa gayā hai
thā koī TuuTā sitārā āsmāñ se aur us kā
nuur saarā kaan kī in bāliyoñ meñ aa gayā hai
lab raheñ ḳhāmosh sāñseñ guftugū kartī rahīñ aur
darmiyāñ jo shor thā vo chūḌiyoñ meñ aa gayā he
raat-din ka sab sukun bechainiyon mein aa gaya hai
dard sara nind ki kuchh goliyon mein aa gaya hai
do baras mein hadson ne kar diya hai haal aisa
mujh mein jo tha shor wo KHamoshiyon mein aa gaya hai
ek judai lafz guzra us se ho kar train jaise
aur koi train ki in paTriyon mein aa gaya hai
tha koi TuTa sitara aasman se aur us ka
nur sara kan ki in baaliyon mein aa gaya hai
lab rahen KHamosh sansen guftugu karti rahin aur
darmiyan jo shor tha wo chuDiyon mein aa gaya he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.