raat-din kashmakash-e-zulf-e-duta mein hun main
raat-din kashmakash-e-zulf-e-duta mein hun main
Abu Mohammad Syed Husain Saifi
MORE BYAbu Mohammad Syed Husain Saifi
rāt-din kashmakash-e-zulf-e-dutā meñ huuñ maiñ
haa.e kis pech meñ aafat meñ balā meñ huuñ maiñ
sub.h hote hī nikal chalne kā sāmān kiyā
raat bhar ke liye is kohna-sarā meñ huuñ maiñ
hosh aa.e haiñ buḌhāpe meñ javānī to ga.ī
sub.h kā vaqt hai aur yād-e-ḳhudā meñ huuñ maiñ
haa.e kis muñh se ho qismat ke bigaḌne kā gila
apne afa.āl-e-kamīna kī sazā meñ huuñ maiñ
bahut āsān thā ek ek ḳhatā kā karnā
sab kī ab fikr hai aur dast-e-qazā meñ huuñ maiñ
be-takalluf vahī kartā hai jo dil chāhe hai
fikr merī na karo tum fuqarā meñ huuñ maiñ
baat jo bas ga.ī dil meñ vo nikaltī kab hai
chheḌiye mujh ko na 'saifī' juhlā meñ huuñ maiñ
raat-din kashmakash-e-zulf-e-duta mein hun main
hae kis pech mein aafat mein bala mein hun main
subh hote hi nikal chalne ka saman kiya
raat bhar ke liye is kohna-sara mein hun main
hosh aae hain buDhape mein jawani to gai
subh ka waqt hai aur yaad-e-KHuda mein hun main
hae kis munh se ho qismat ke bigaDne ka gila
apne afaal-e-kamina ki saza mein hun main
bahut aasan tha ek ek KHata ka karna
sab ki ab fikr hai aur dast-e-qaza mein hun main
be-takalluf wahi karta hai jo dil chahe hai
fikr meri na karo tum fuqara mein hun main
baat jo bas gai dil mein wo nikalti kab hai
chheDiye mujh ko na 'saifi' juhla mein hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.