Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat gae din-bhar ki baaton se ji ko bahlate hain

Qaisar Munavvar

raat gae din-bhar ki baaton se ji ko bahlate hain

Qaisar Munavvar

MORE BYQaisar Munavvar

    raat ga.e din-bhar bātoñ se ko bahlāte haiñ

    niiñd nahīñ aatī hai lekin ḳhvāb to phir bhī aate haiñ

    kaise bāhar chhoḌ aate haiñ bharī paḌī ik duniyā ko

    kamre meñ itnī tanhā.ī aap kahāñ se laate haiñ

    ek zamāna samajh rahā hai chehra dekh ke dil baat

    ik vahī baat samajh nahīñ paatā ham jis ko samjhāte haiñ

    ek ḳhamoshī hai jo āvāzoñ se kam nahīñ hotī hai

    ek ḳhalā hai apne andar jis ko bharte jaate haiñ

    vaqt baḌā zālim hai ik pal meñ phail jaatā hai

    jaane kaise itne dukh ik lamhe meñ aa jaate haiñ

    raat gae din-bhar ki baaton se ji ko bahlate hain

    nind nahin aati hai lekin KHwab to phir bhi aate hain

    kaise bahar chhoD aate hain bhari paDi ek duniya ko

    kamre mein itni tanhai aap kahan se late hain

    ek zamana samajh raha hai chehra dekh ke dil ki baat

    ek wahi baat samajh nahin pata hum jis ko samjhate hain

    ek KHamoshi hai jo aawazon se kam nahin hoti hai

    ek KHala hai apne andar jis ko bharte jate hain

    waqt baDa hi zalim hai ek pal mein phail sa jata hai

    jaane kaise itne dukh ek lamhe mein aa jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now