raat gham yaadon ke sae aap ke
raat ġham yādoñ ke saa.e aap ke
sab chale aa.e sivā.e aap ke
dil makāñ rahne ko achchhā thā magar
roz baḌhte the kirā.e aap ke
ab samajh aaya judā hote samay
ḳhud ko bhejā thā bajā.e aap ke
be-sabab hī sar pe le lī ye balā
ho ga.e baiThe-biThā.e aap ke
ek din vaqt aa gayā ham par burā
aur phir ḳhat bhī na aa.e aap ke
ḳhud bikharte bhī rahe ham rāt-bhar
zulf-o-‘āriz bhī sajā.e aap ke
raat gham yaadon ke sae aap ke
sab chale aae siwae aap ke
dil makan rahne ko achchha tha magar
roz baDhte the kirae aap ke
ab samajh aaya juda hote samay
KHud ko bheja tha bajae aap ke
be-sabab hi sar pe le li ye bala
ho gae baiThe-biThae aap ke
ek din waqt aa gaya hum par bura
aur phir KHat bhi na aae aap ke
KHud bikharte bhi rahe hum raat-bhar
zulf-o-‘ariz bhi sajae aap ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.