raat guzregi sahar mujhko mayassar hogi
raat guzregī sahar mujh ko mayassar hogī
hai yahī aas ki ye zindagī behtar hogī
ruḳh kareñgī mire āñgan kā bahāreñ ik din
merī dahlīz bhī ḳhushiyoñ se mo'attar hogī
miT hī jā.eñge yaqīnan ye añdhere ġham ke
dil kī bastī bhī kisī roz munavvar hogī
maiñ chalā jā.uñgā jab chhoḌ ke terī duniyā
tujh ko taskīn na ik pal bhī mayassar hogī
rahnumā.ī mirā har she'r karegā yaaro
merī har baat to bas miil kā patthar hogī
'aks' chāhat kā asar us pe bhī hogā ik din
us kī hālat mirī hālat se bhī bad-tar hogī
raat guzregi sahar mujh ko mayassar hogi
hai yahi aas ki ye zindagi behtar hogi
ruKH karengi mere aangan ka bahaaren ek din
meri dahliz bhi KHushiyon se mo'attar hogi
miT hi jaenge yaqinan ye andhere gham ke
dil ki basti bhi kisi roz munawwar hogi
main chala jaunga jab chhoD ke teri duniya
tujh ko taskin na ek pal bhi mayassar hogi
rahnumai mera har she'r karega yaro
meri har baat to bas mil ka patthar hogi
'aks' chahat ka asar us pe bhi hoga ek din
us ki haalat meri haalat se bhi bad-tar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.