raat guzri magar na aae KHwab
raat guzrī magar na aa.e ḳhvāb
haa.e vo mere ḳhvāb-hā-e-ḳhvāb
ham kahīñ rat-jagoñ meñ kho.e the
jab chalī thī yahāñ havā-e-ḳhvāb
dhuup ke āstāñ se aa.ī haiñ
merī āñkheñ nahīñ barā-e-ḳhvāb
sej murjhā ga.ī mohabbat kī
rah ga.e haiñ saje-sajā.e ḳhvāb
niiñd qurbān karnā paḌtī thī
ham ne jis daur meñ kamā.e ḳhvāb
kis qadar sard thī havā 'rāval'
dasht meñ rāt-bhar jalā.e ḳhvāb
raat guzri magar na aae KHwab
hae wo mere KHwab-ha-e-KHwab
hum kahin rat-jagon mein khoe the
jab chali thi yahan hawa-e-KHwab
dhup ke aastan se aai hain
meri aankhen nahin bara-e-KHwab
sej murjha gai mohabbat ki
rah gae hain saje-sajae KHwab
nind qurban karna paDti thi
hum ne jis daur mein kamae KHwab
kis qadar sard thi hawa 'rawal'
dasht mein raat-bhar jalae KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.